wo kaun thi...
Wo kaun thi...
anjaane main kabhi dkhoke se
kabhi chhupe kabhi itraake
kabhi sharmake wo patli si
mere dil ko lubha jati thi
pehli baar jab dekha aisa
laga jaise mere uper wo
kuch jadoo kar gayi
wo nakhre ke sath uska
dheere se machal jaana
phir kabhi samandar ki
lehar ke sath dagmagana
bachpan se lekar jawani tak
sath khele hai sochta hu
ki ye khel kab tak khelenge
lagta hai hamen wo
kahin peechhe chhod jayenge
jitni door bhi dekho wo
nazar aa jati hai
aadha samay mere sath
bitati hai aur
aadhe samay aasman main
chhup jaati hai..
aisa kaisa sath hamara ki
main tumhe dekh nahin sakta
har dam mujhe mahsoos karati ho
ki tum yahi ho mere sath ho
mere pass ho hamesha
rahi ho hamesha rahogi
wo subah subah ki taazi
hawa ke saath uska chale aana..
aur shaam ke darr se
uska chale jaana
ye silsila to sadiyon ka hai
jo pichhle saat janmo se chal raha hai
aur chalta rahega
ye khel na kabhi
khatam hua hai aur na hoga.
main uske intezaar main
har subah aahen bharoonga
aur jab wo aayegi aakhen band kar ke
uska deedar karoonga
bas yahi tamanna hai
ham aise hi aankh micholi ka
khel khelte rahe
kabhi koi aanch na aaye
aur tum kabhi hamse juda na ho
meri patli si roshni ki kiran is milan ki koi raat na ho